E,A Consultancy

E,A Consultancy i m not a professional writer. i wrote just i feel in my heart on diffrent moments of my life.

11/11/2016

Kab tak chupaen apna haal sab sy
Malik
Ab tu muskurana bhi bojh hi lagny laga hy

30/08/2013

muhaabbat kar to li tumny, mager yeah baat jaano tum
nahi aasaaan isy karna, yeh bhi baat maano tum
M@LIK
muhabbat khel aisa hy, jo khely wo na jee paayee
yahan har morr pay akser, naye sadmy hi milty hain

30/08/2013

mat mang mujhy yun duaaou'n main bar bar
" M@LIK"
mill jaonga ik din tujhy ager tera naseeb hun.

30/08/2013

uski aankhun main aisa doobaa hun
"M@lik"
ab muhabbat k sahil ka rstaa nai milta

26/04/2013

suna tha humny k muhabbat main jaiz hai har shaye
M@LIK
jab ki to pata chala yahan bhi gunah sawab ki baaten hain

26/04/2013

yeh pyaar bhi ajab shaye hai yaaro
j**s sy kar baitho wo hi rulata hai

09/03/2013

muhabbat kar to li maine mager kia jurm hai yaroo?
mujhy ab jo bhi milta hai bas ik hi baat kehta hai
yah tunay kia hai kar dala yeh kaisa rog hai paalaa
sukun kia raas nahi tujhko jo tu bhi pyar kar baitha

06/03/2013

aisi hum muhabbat aam karengy
har ghari har pal tery nam karengy
jab guzrengy log tery shehr sy
"M@LIK"
tery naam ka charcha sar-e- aaam karengy

06/03/2013

meri tanhaaayun main yun akser tum samaaty ho

na jaany kia hva mujhko meri har simt chaye ho

tumhain hi khojta hun har soo, tumhain paany ki khuwaish main

mager jab yaad ataa hai k tum mery nai ab tak

main wapis lout jata hun naye sapny sajata hun

tumhain hi yaad karta hun akela muskurata hun

meri tanhaayun mai yun aksar tum samaaaty ho....................

05/03/2013

Tumhein maloom bhi hai main tanha jee nahin sakta,

Meri aadat badalne tak to mere saath ruk jao,

bitany do mujhy kuch pal tum apny saath yun lakin

yeh mera dil sanmbhalny tak to mery sath ruk jao

yah mana hai k ab tumko mera sayaa bhi khalta hai

mujhy kuch pal to jeeny do tumhar saaath k "M@LIK"

k meri saans thamny tak to mery saath ruk jao

20/02/2013

tery ishq main mery hamsafar meri shayari kahin kho g*i
teri aas mai aye bekhaber meri zindagi bhi roo g*i
teri chah main mery hamnawa meri saadgi kahin kho g*i
tu mila nai mujhy aaj tak teri rah main hva darbdar
mujhy yun laga teri pyaas main meri arzoo bhi soo g*i

11/01/2013

Dhoond leti hai mujhko dhoondne wali nazar,
M@LIK
Apne saaye ko agarchey la’pata rakhta hoon mein..

Address

CHamber No 17 New Block Districts Courts
Bahawalpur
63100

Website

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when E,A Consultancy posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Share